Aks Hai Be-tabiyon Ka Dil Ki Armanon Mein Kyun

aks hai be-tabiyon ka dil ki armanon mein kyun

be-zaban shamil hue jate hain mehmanon mein kyun

ho gae diwane ruKHsat bastiyon ki samt kya

chha gain viraniyan si phir bayabanon mein kyun

dil ki us be-raunaqi ka zikr jaane dijiye

ho rahi hain bastiyan tabdil viranon mein kyun

hai raqabat juzw-e-lazim mehr-o-ulfat ka agar

ijtimai ishq phir hota hai parwanon mein kyun

kya kisi kuTiya ke andar jag uThi hai zindagi

khalbali si paD gai mahlon mein aiwanon mein kyun

biKH-kun the jo sitam-ranon ke kal tak ai nadim

ho raha hai ab shumar un ka sitam-ranon mein kyun

amn ke KHwahan hain jab 'afsar' jahan wale tamam

kashmakash rahti hai phir itni jahan-banon mein kyun

(682) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks Hai Be-tabiyon Ka Dil Ki Armanon Mein Kyun In English By Famous Poet Hamidullah Afsar. Aks Hai Be-tabiyon Ka Dil Ki Armanon Mein Kyun is written by Hamidullah Afsar. Read famous Poem Aks Hai Be-tabiyon Ka Dil Ki Armanon Mein Kyun for youth and Student by Hamidullah Afsar. Free Download Aks Hai Be-tabiyon Ka Dil Ki Armanon Mein Kyun in PDF.