Asar Dekha Dua Jab Raat-bhar Ki

asar dekha dua jab raat-bhar ki

ziya kuchh kuchh hai taron mein sahar ki

hue ruKHsat jahan se subh hote

kahani hijr mein yun muKHtasar ki

taDap uTThe lahad mein sone wale

zamin ki samt yun tum ne nazar ki

sahar ko maut ki mangi duaen

dua maqbul hoti hai sahar ki

ye bijli hai ki ai abr-e-shab-e-hijr

hai dhajji ek daman-e-sahar ki

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asar Dekha Dua Jab Raat-bhar Ki In English By Famous Poet Hamidullah Afsar. Asar Dekha Dua Jab Raat-bhar Ki is written by Hamidullah Afsar. Read famous Poem Asar Dekha Dua Jab Raat-bhar Ki for youth and Student by Hamidullah Afsar. Free Download Asar Dekha Dua Jab Raat-bhar Ki in PDF.