Bhula Diya Bhi Agar Jae Sarsari Kiya Jae

bhula diya bhi agar jae sarsari kiya jae

mutalea meri wahshat ka lazmi kiya jae

hum aise log jo aainda o guzishta hain

hamare ahd ko maujud se tahi kiya jae

KHabar mili hai ki us KHush-KHabar ki aamad hai

so ehtimam-e-suKHan aaj multawi kiya jae

hamein ab apne nae raste banane hain

jo kaam kal hamein karna hai wo abhi kiya jae

nahin baid ye ahkaam-e-taza jari hon

ki gumbadon se parindon ko ajnabi kiya jae

bas ek lamha tere wasl ka mayassar ho

aur us visal ke lamhe ko daimi kiya jae

(703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhula Diya Bhi Agar Jae Sarsari Kiya Jae In English By Famous Poet Hammad Niyazi. Bhula Diya Bhi Agar Jae Sarsari Kiya Jae is written by Hammad Niyazi. Read famous Poem Bhula Diya Bhi Agar Jae Sarsari Kiya Jae for youth and Student by Hammad Niyazi. Free Download Bhula Diya Bhi Agar Jae Sarsari Kiya Jae in PDF.