Dil Ke Sune Sahn Mein Gunji AahaT Kis Ke Panw Ki

dil ke sune sahn mein gunji aahaT kis ke panw ki

dhup-bhare sannaTe mein aawaz suni hai chhanw ki

ek manzar mein sare manzar pas-manzar ho jaane hain

ek dariya mein mil jaani hain lahren sab dariyaon ki

dasht-nawardi aur hijrat se apna gahra rishta hai

apni miTTi mein shamil hai miTTi kuchh sahraon ki

barish ki bundon se ban mein tan mein ek bahaar aai

ghar ghar gae git gagan ne gaunjin galiyan ganw ki

subh sawere nange panw ghas pe chalna aisa hai

jaise bap ka pahla bosa qurbat jaise maon ki

ek jaisa ehsas lahu mein jita jagta rahta hai

ek udasi de jati hai dastak roz hawaon ki

sinon aur zaminon ka ab manzar-nama badlega

har su kasrat ho jaani hai phulon aur duaon ki

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Sune Sahn Mein Gunji AahaT Kis Ke Panw Ki In English By Famous Poet Hammad Niyazi. Dil Ke Sune Sahn Mein Gunji AahaT Kis Ke Panw Ki is written by Hammad Niyazi. Read famous Poem Dil Ke Sune Sahn Mein Gunji AahaT Kis Ke Panw Ki for youth and Student by Hammad Niyazi. Free Download Dil Ke Sune Sahn Mein Gunji AahaT Kis Ke Panw Ki in PDF.