Dil Ki Yaad-dahani Se

dil ki yaad-dahani se

aankh khuli hairani se

rang hain sare miTTi ke

be-range is pani se

harf-nigari sikhi hai

kamre ki virani se

peD ujaDte jate hain

shaKHon ki nadani se

dagh-e-girya aankhon ka

kab dhulta hai pani se

haar diya hai ujlat mein

KHud ko kis aasani se

KHauf aata hai aankhon ko

bhed bhari uryani se

roz pasina bahta hai

aankhon ki peshani se

(839) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Yaad-dahani Se In English By Famous Poet Hammad Niyazi. Dil Ki Yaad-dahani Se is written by Hammad Niyazi. Read famous Poem Dil Ki Yaad-dahani Se for youth and Student by Hammad Niyazi. Free Download Dil Ki Yaad-dahani Se in PDF.