Jis Ki Saundhi Saundhi KHushbu Aangan Aangan Palti Thi

jis ki saundhi saundhi KHushbu aangan aangan palti thi

us miTTi ka bojh uThate jism ki miTTi galti thi

jis ko tap ke garm lihafon mein bachche so jate the

dil ke chulhe mein har dam wo aag barabar jalti thi

garm do-pahron mein jalte sehnon mein jhaDu dete the

jin buDhe hathon se pak kar roTi phul mein Dhalti thi

kisi kahani mein virani mein jab dil ghabraata tha

kisi aziz dua ki KHushbu sath hamare chalti thi

gard uDate zard bagule dar par dastak dete the

aur KHasta-diwaron ki pal bhar mein shakl badalti thi

KHushk khajur ke patton se jab nind ka bistar sajta tha

KHwab-nagar ki shahzadi galiyon mein aan nikalti thi

din aata tha aur sine mein sham ka KHaka banta tha

sham aati thi aur jismon mein sham bhi aaKHir Dhalti thi

(933) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ki Saundhi Saundhi KHushbu Aangan Aangan Palti Thi In English By Famous Poet Hammad Niyazi. Jis Ki Saundhi Saundhi KHushbu Aangan Aangan Palti Thi is written by Hammad Niyazi. Read famous Poem Jis Ki Saundhi Saundhi KHushbu Aangan Aangan Palti Thi for youth and Student by Hammad Niyazi. Free Download Jis Ki Saundhi Saundhi KHushbu Aangan Aangan Palti Thi in PDF.