Sabz-kheton Se UmaDti Raushni Taswir Ki

sabz-kheton se umaDti raushni taswir ki

main ne apni aankh se ek harf-gah tamir ki

sun qatar andar qatar ashjar ki sargoshiyan

aur kahani paDh KHizan ne raat jo tahrir ki

kachchi qabron par saji KHushbu ki bikhri lash par

KHamushi ne ek nae andaz mein taqrir ki

bachpane ki dars-gahon mein purane TaT par

dil ne hairani ki pahli bargah tasKHir ki

raushni mein raqs karte KHak ke zarraat ne

intiha-e-ab-o-gil ki awwalin tafsir ki

kohsaron ke saron par baadalon ki pagDiyan

ek tamsil-e-numayan aaya-e-tathir ki

dhund ke lashkar ka chaaron or pahra tha magar

ek diye ne raushni ki raat bhar tashhir ki

aaj phir aab-e-muqaddas aankh se hijrat kiya

ghar pahunchne mein kisi ne aaj phir taKHir ki

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabz-kheton Se UmaDti Raushni Taswir Ki In English By Famous Poet Hammad Niyazi. Sabz-kheton Se UmaDti Raushni Taswir Ki is written by Hammad Niyazi. Read famous Poem Sabz-kheton Se UmaDti Raushni Taswir Ki for youth and Student by Hammad Niyazi. Free Download Sabz-kheton Se UmaDti Raushni Taswir Ki in PDF.