Yaqin Ki Saltanat Thi Aur Sultani Hamari

yaqin ki saltanat thi aur sultani hamari

damakti thi dua ki lau se peshani hamari

mahakta tha ghane peDon se virana hamara

jahan-e-ab-o-gil par thi nigahbani hamari

hamare jism ke TukDe hue raunde gae hum

magar zinda rahi aankhon mein hairani hamari

hum is KHatir teri taswir ka hissa nahin the

tere manzar mein aa jae na virani hamari

bahut lambe safar ki gard chehron par paDi thi

kisi ne dasht mein surat na pahchani hamari

kisi ne kab bhala jaana hamara karb-e-wahshat

kisi ne kab bhala jaani pareshani hamari

(1032) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaqin Ki Saltanat Thi Aur Sultani Hamari In English By Famous Poet Hammad Niyazi. Yaqin Ki Saltanat Thi Aur Sultani Hamari is written by Hammad Niyazi. Read famous Poem Yaqin Ki Saltanat Thi Aur Sultani Hamari for youth and Student by Hammad Niyazi. Free Download Yaqin Ki Saltanat Thi Aur Sultani Hamari in PDF.