Is Tarah Ahd-e-tamanna Ko Guzare Jaiye

is tarah ahd-e-tamanna ko guzare jaiye

un ko KHamoshi ke lahje mein pukare jaiye

ishq ka mansab nahin aawaza-e-lafz-o-bayan

aankhon hi aankhon mein har ek shikwa guzare jaiye

dekhiye ruswa na ho jae kahin rasm-e-junun

apne diwane ko ek patthar to mare jaiye

aaine pe jo guzarna ho guzar jae magar

aap yunhi zulf-e-barham ko sanware jaiye

jazba-e-dil ka taqaza hai ki bazi jit lun

ehtiyat-e-ishq kahti hai ki haare jaiye

ho sake to dil ki haalat KHud hi aa kar dekhiye

ghair ki suniye na kahne par hamare jaiye

kuchh to lutf-e-lams-e-aghosh-e-talatum chahiye

ta-kuja 'aKHgar' kinare hi kinare jaiye

(1557) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Tarah Ahd-e-tamanna Ko Guzare Jaiye In English By Famous Poet Haneef Akhgar. Is Tarah Ahd-e-tamanna Ko Guzare Jaiye is written by Haneef Akhgar. Read famous Poem Is Tarah Ahd-e-tamanna Ko Guzare Jaiye for youth and Student by Haneef Akhgar. Free Download Is Tarah Ahd-e-tamanna Ko Guzare Jaiye in PDF.