Haal-e-dil-e-bimar Samajh Mein Chaaragaron Ki Aae Kam

haal-e-dil-e-bimar samajh mein chaaragaron ki aae kam

bechaini ho jae ziyaada dard agar ho jae kam

ashk nigal jaun to yaqinan shiddat-e-gham ho jae kam

dil ka jhulas jaana lazim hai aah jo lab par aae kam

mujh ko hai taslim qafas mein phulon ke hain sae kam

hae magar wo jin ko chaman ki aab-o-hawa ras aae kam

rah-e-talab mein har manzil par ho tajdid-e-azm-e-safar

rahraw ko aaram na aae aur jo aae aae kam

qamat-e-fan ki baat alag meyar-e-hunar ki baat alag

shahr-e-suKHan gunjaan hai lekin hain mere ham-sae kam

apne aib se waqif hona sab se baDa hai kar-e-hunar

aadmi KHud aaina dekhe auron ko dikhlae kam

puchhne walo haal na puchho ishq mein ab ye aalam hai

KHud par hansna aae ziyaada dil par rona aae kam

aariz-e-rangin kahne mein tausif to hai tashbih nahin

phul pe aae us ki shabahat phul ki us par aae kam

shahr-e-nafas se wadi-e-jaan tak saikDon nazuk rishte hain

sans na rukne pae 'aKHgar' dard na hone pae kam

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haal-e-dil-e-bimar Samajh Mein Chaaragaron Ki Aae Kam In English By Famous Poet Haneef Akhgar. Haal-e-dil-e-bimar Samajh Mein Chaaragaron Ki Aae Kam is written by Haneef Akhgar. Read famous Poem Haal-e-dil-e-bimar Samajh Mein Chaaragaron Ki Aae Kam for youth and Student by Haneef Akhgar. Free Download Haal-e-dil-e-bimar Samajh Mein Chaaragaron Ki Aae Kam in PDF.