Dil Ki Mere Bisat Kya Ek Diya Bujha Hua

dil ki mere bisat kya ek diya bujha hua

tum ne ise baja kaha ek diya bujha hua

sar pe musallat ki gain sare jahan ki zulmaten

aur mujhe de diya gaya ek diya bujha hua

hum ne to gul kiye the KHud apni ummid ke charagh

aap ne kyun jala diya ek diya bujha hua

dil se na mere puchhiye aalam-e-tark-e-arzu

taq mein jis ke rah gaya ek diya bujha hua

aaina-e-wajud mein KHud ko jo dekhne gaya

mera hi aks ban gaya ek diya bujha hua

jab yake-baad-digre sare charagh bujh gae

aap hi aap jal uTha ek diya bujha hua

aap ki kya misal dun aap to be-misal hain

aur meri misal kya ek diya bujha hua

main ne to us ko baKHsh di qalb-o-nazar ki raushni

us ne KHayal ko diya ek diya bujha hua

ishq mein KHak ho ke bhi 'aKHgar' ek aag si rahi

mujh mein ba-har-nafas jala ek diya bujha hua

(1027) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544