Abhi Na Jao Abhi Raste Saje Bhi Nahin

abhi na jao abhi raste saje bhi nahin

abhi charagh sar-e-kahkashan jale bhi nahin

jabin-e-charKH pe gulguna-e-shafaq mal kar

abhi to sham ke sae kahin gae bhi nahin

abhi abhi to jamai hai main ne bazm-e-KHayal

abhi ufuq-ba-ufuq baam-o-dar saje bhi nahin

urus-e-shab ne abhi chandni utari hai

abhi to gesu-e-shab Thik se khule bhi nahin

abhi se tark-e-talluq ke mashware to na do

abhi to yaadon ke sare diye bujhe bhi nahin

mere safar mein sitare the bas sharik-e-safar

ye rah-rau to meri rah-guzar ke the bhi nahin

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Na Jao Abhi Raste Saje Bhi Nahin In English By Famous Poet Haneef Asadi. Abhi Na Jao Abhi Raste Saje Bhi Nahin is written by Haneef Asadi. Read famous Poem Abhi Na Jao Abhi Raste Saje Bhi Nahin for youth and Student by Haneef Asadi. Free Download Abhi Na Jao Abhi Raste Saje Bhi Nahin in PDF.