Ki Nazar Maine Jab Ehsas Ke Aaine Mein

ki nazar main ne jab ehsas ke aaine mein

apna dil paya dhaDakta hua har sine mein

muddaten guzrin mulaqat hui thi tum se

phir koi aur na aaya nazar aaine mein

apne kandhon pe liye phirta hun apni hi salib

KHud meri maut ka matam hai mere jine mein

apne andaz se andaza lagaya sab ne

mujh ko yaron ne ghalat kar liya taKHmine mein

apni jaanib nahin ab lauTna mumkin mera

Dhal gaya hun main sarapa tere aaine mein

ek lamhe ko hi aa jae mayassar 'kaifi'

wo nazar jo mujhe dekhe mere aaine mein

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ki Nazar Maine Jab Ehsas Ke Aaine Mein In English By Famous Poet Haneef Kaifi. Ki Nazar Maine Jab Ehsas Ke Aaine Mein is written by Haneef Kaifi. Read famous Poem Ki Nazar Maine Jab Ehsas Ke Aaine Mein for youth and Student by Haneef Kaifi. Free Download Ki Nazar Maine Jab Ehsas Ke Aaine Mein in PDF.