Nazar Ko Qurb-e-shanasai BanTne Wale

nazar ko qurb-e-shanasai banTne wale

kabhi to hath aa parchhai banTne wale

akela-pan dar-o-diwar se Tapakta hai

kahan gae meri tanhai banTne wale

ye munh se sukhe niwale bhi chhin lete hain

bahut gharib hain mahngai banTne wale

hamare shahr ko teri baDi zarurat hai

idhar bhi aa kabhi achchhai banTne wale

kabhi ye soch ke tere bhi apne bachche hain

hamari nasl ko nangai banTne wale

zamana kya hua ab jo nazar nahin aate

wafa ki pyar ki binai banTne wale

(1621) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Ko Qurb-e-shanasai BanTne Wale In English By Famous Poet Haneef Rahi. Nazar Ko Qurb-e-shanasai BanTne Wale is written by Haneef Rahi. Read famous Poem Nazar Ko Qurb-e-shanasai BanTne Wale for youth and Student by Haneef Rahi. Free Download Nazar Ko Qurb-e-shanasai BanTne Wale in PDF.