Jalwa-gar Sochon Mein Hain Kuchh Aagahi Ke Aaftab

jalwa-gar sochon mein hain kuchh aagahi ke aaftab

raushni se likh raha hun zindagani ka nisab

pattharon se kab talak bandhegi ummid-e-wafa

zindagi dekhegi kab tak jagti aankhon se KHwab

kya KHabar wo kaun hain roz-e-jaza ke muntazir

chashm-e-bina ke liye har roz hai roz-e-hisab

KHak zinda gar kare husn-e-azal ki aarzu

darmiyan rahta nahin phir koi bhi tar-e-hijab

jaante hain wo husul-e-maya ki har ek sabil

hifz hain sajjadgan ko KHanqahi ke nisab

inqalab-e-subh ki kuchh kam nahin ye bhi dalil

pattharon ko de rahe hain aaine khul kar jawab

(651) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalwa-gar Sochon Mein Hain Kuchh Aagahi Ke Aaftab In English By Famous Poet Haneef Sajid. Jalwa-gar Sochon Mein Hain Kuchh Aagahi Ke Aaftab is written by Haneef Sajid. Read famous Poem Jalwa-gar Sochon Mein Hain Kuchh Aagahi Ke Aaftab for youth and Student by Haneef Sajid. Free Download Jalwa-gar Sochon Mein Hain Kuchh Aagahi Ke Aaftab in PDF.