Raat Dhalte Hi Safiran-e-qamar Aate Hain

raat Dhalte hi safiran-e-qamar aate hain

dil ke aaine mein sau aks utar aate hain

sail-e-mahtab se jab naqsh ubhar aate hain

os girti hai to paigham-e-sharar aate hain

saat-e-did ka gulzar ho ya saya-e-dar

aise kitne hi maqamat-e-safar aate hain

jagti aankhon ne jin lamhon ko bikhra dekha

wahi lamhe mere KHwabon mein nikhar aate hain

waqt ki lash pe rone ko jigar hai kis ka

kis janaze ko liye ahl-e-nazar aate hain

raat ki baat hi kya raat gai baat gai

raat ke KHwab kahin din ko nazar aate hain

wadi-e-gharb se paiham hai andheron ka nuzul

matla-e-sharq se paigham-e-sahar aate hain

(677) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Dhalte Hi Safiran-e-qamar Aate Hain In English By Famous Poet Hanif Fauq. Raat Dhalte Hi Safiran-e-qamar Aate Hain is written by Hanif Fauq. Read famous Poem Raat Dhalte Hi Safiran-e-qamar Aate Hain for youth and Student by Hanif Fauq. Free Download Raat Dhalte Hi Safiran-e-qamar Aate Hain in PDF.