Raat Ke Dar Pe Ye Dastak Ye Musalsal Dastak

raat ke dar pe ye dastak ye musalsal dastak

aamad-e-subh-e-farozan ka pata deti hai

phunk Dalegi ye ek roz qaba-e-sayyaad

aatish-e-gul ko saba aur hawa deti hai

tirgi-zadon se kab nur ka sailab thame

faisla waqt ka tariKH suna deti hai

aanch aati hai sitaron se jo kuchh pichhle pahar

KHwab-e-shirin se nigaron ko jaga deti hai

kitni nadida bahaaron ki tamanna-e-jawan

daman-e-jaan mein mere aag laga deti hai

sina-e-sang mein betab hai wo kawish-e-shauq

jo haqiqat ko bhi KHwabon ki ziya deti hai

sham-e-mehrab-e-wafa ban ke hayat-e-ruswa

dil-nigari ka meri kuchh to sila deti hai

(1002) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ke Dar Pe Ye Dastak Ye Musalsal Dastak In English By Famous Poet Hanif Fauq. Raat Ke Dar Pe Ye Dastak Ye Musalsal Dastak is written by Hanif Fauq. Read famous Poem Raat Ke Dar Pe Ye Dastak Ye Musalsal Dastak for youth and Student by Hanif Fauq. Free Download Raat Ke Dar Pe Ye Dastak Ye Musalsal Dastak in PDF.