Chashm-e-pur-nam Abhi Marhun-e-asar Ho Na Saki

chashm-e-pur-nam abhi marhun-e-asar ho na saki

zindagi KHak-nashinon ki basar ho na saki

mai-kade ki wahi manus faza aur dil-e-zar

ek bhi raat ba-andaz-e-digar ho na saki

gham-e-jaanan gham-e-dauran ki guzargahon se

guzre kuchh aise ki KHud apni KHabar ho na saki

dhundle dhundle nazar aate to hain qadmon ke nishan

garche pur-nur abhi rahguzar ho na saki

zindagi jam-ba-kaf aai bhi mahfil mein magar

shab ke matwalon ko taufiq-e-nazar ho na saki

kaise tabinda sitaron ka lahu jalta hai

shab-e-tarik jo unwan-e-sahar ho na saki

(758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-pur-nam Abhi Marhun-e-asar Ho Na Saki In English By Famous Poet Hanif Fauq. Chashm-e-pur-nam Abhi Marhun-e-asar Ho Na Saki is written by Hanif Fauq. Read famous Poem Chashm-e-pur-nam Abhi Marhun-e-asar Ho Na Saki for youth and Student by Hanif Fauq. Free Download Chashm-e-pur-nam Abhi Marhun-e-asar Ho Na Saki in PDF.