Fazaon Mein Kuchh Aisi Khalbali Thi

fazaon mein kuchh aisi khalbali thi

kaleja tham kar wahshat chali thi

kabhi us ki jawani manchali thi

kabhi duniya bhi sanche mein Dhali thi

yahi aaina-dar-aina ulfat

kabhi aks-e-KHafi naqsh-e-jali thi

na chhoDa sard jhonkon ne wafa ko

jo shaKH-e-dard ki tanha kali thi

bigaDa kis ne hai tab-e-jahan ko

kabhi ye rind-mashrab bhi wali thi

muhit hangama-e-afaq par hai

sada-e-dard jo dil mein pali thi

ghanimat jaaniye phir nim-raushan

charagh-e-rah se apni gali thi

bura ho aagahi ka zist warna

guzar jati buri thi ya bhali thi

hamin ne 'fauq' chaha zindagi ko

hamin se kisht-e-gham phuli-phali thi

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fazaon Mein Kuchh Aisi Khalbali Thi In English By Famous Poet Hanif Fauq. Fazaon Mein Kuchh Aisi Khalbali Thi is written by Hanif Fauq. Read famous Poem Fazaon Mein Kuchh Aisi Khalbali Thi for youth and Student by Hanif Fauq. Free Download Fazaon Mein Kuchh Aisi Khalbali Thi in PDF.