Aankhon Par Palkon Ka Bojh Nahin Hota

aankhon par palkon ka bojh nahin hota

dard ka rishta apni aan nahin khota

basti ke hassas dilon ko chubhta hai

sannaTa jab sari raat nahin hota

man-nagri mein dhum-dhaDakka rahta hai

mera main jab mere sath nahin hota

ban jate hain lamhe bhi kitne sangin

waqt kabhi jab apna bojh nahin Dhota

rishte nate TuTe phuTe lage hain

jab bhi apna saya sath nahin hota

dil ko 'hanif' udhaar nahin milta jab tak

aankhon ka pathrila dard nahin rota

(1045) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Par Palkon Ka Bojh Nahin Hota In English By Famous Poet Hanif Tarin. Aankhon Par Palkon Ka Bojh Nahin Hota is written by Hanif Tarin. Read famous Poem Aankhon Par Palkon Ka Bojh Nahin Hota for youth and Student by Hanif Tarin. Free Download Aankhon Par Palkon Ka Bojh Nahin Hota in PDF.