Diwanon Ka Nam Abad Tak Hota Hai

suna hai us ne paDhte paDhte

aankhon ko hairan kiya hai

pusht se lipTe aainon ke

zangaron ka dhyan kiya hai

sadiyon par phaili, an-dekhi

raushniyon ka gyan kiya hai

pal-do-pal wishram kiya tha

suna hai us ne likhte likhte

daftar mein apne jiwan ke

din kaTe to

raaton ka wardan diya hai

gahri fikr ke moTe moTe

shishe pahan kar

lafzon mein nae mani aur mafhum samo kar

aur guman ke darwazon par

nae taur se dastak de kar

fikr ki unchai se guzar kar

baDe baDe inam hain pae

duniya ke samman uThae

lekin ab to

apne art ke taj-mahal mein

ek taswir sa laTka hua hai

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diwanon Ka Nam Abad Tak Hota Hai In English By Famous Poet Hanif Tarin. Diwanon Ka Nam Abad Tak Hota Hai is written by Hanif Tarin. Read famous Poem Diwanon Ka Nam Abad Tak Hota Hai for youth and Student by Hanif Tarin. Free Download Diwanon Ka Nam Abad Tak Hota Hai in PDF.