Jab Tarsil BaTan Tak Pahunchi

kal, tera nama

jo milta tha hamein

us ke alfaz tale

muddaten, maani ki tashrihon mein

lutf ka sail-e-rawan rahta tha

raaten bistar pe

nasha KHwab ka rakh deti thin

itr mein Dubi hui dhup ki paimaish par

chandni nind, ko lori ki thapak deti thi

zehn mein subh o masa

ek ajab farhat-e-nau-rasta safar karti thi

lekin ab qurbaten hain baham

samaat ko magar

phone ki ghanTi ko sunne ko tarasti KHwahish

munqata rabita pane ke liye koshan hai

ungliyan rahti hain

ek ek button par raqsan

yahi mamul hai muddat se

magar, telephone

ek KHamosh sada deta hai

silsila lamhon ka

sadiyon sa bana deta hai

(949) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tarsil BaTan Tak Pahunchi In English By Famous Poet Hanif Tarin. Jab Tarsil BaTan Tak Pahunchi is written by Hanif Tarin. Read famous Poem Jab Tarsil BaTan Tak Pahunchi for youth and Student by Hanif Tarin. Free Download Jab Tarsil BaTan Tak Pahunchi in PDF.