Munh-zor Hain Maghrur Hain Pur-kar Nahin Hain

munh-zor hain maghrur hain pur-kar nahin hain

hum log abhi sahab-e-kirdar nahin hain

jab aap hi ulfat mein wafadar nahin hain

phir hum se gila kyun ki talabgar nahin hain

hum saqi-e-mah-wash hain gunahgar-e-aqidat

hum pine-pilane ke gunahgar nahin hain

be-mahri-o-be-gangi-o-jor-o-taghaful

hum aisi mohabbat ke parastar nahin hain

kya ahl-e-chaman-zar ke ajsam mein hai jaan

kya ahl-e-chaman jaan se bezar nahin hain

muKHtar bhi malik bhi hain ghairon ke liye aap

apnon ke liye malik-o-muKHtar nahin hain

mat puchhiye maiKHane ka dastur 'hazin' se

zi-hosh hi maiKHane mein hoshiyar nahin hain

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Munh-zor Hain Maghrur Hain Pur-kar Nahin Hain In English By Famous Poet Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Munh-zor Hain Maghrur Hain Pur-kar Nahin Hain is written by Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Read famous Poem Munh-zor Hain Maghrur Hain Pur-kar Nahin Hain for youth and Student by Hans Raj Sachdev 'hazii.n'. Free Download Munh-zor Hain Maghrur Hain Pur-kar Nahin Hain in PDF.