Har Zarra Hai Jamal Ki Duniya Liye Hue

har zarra hai jamal ki duniya liye hue

insan agar ho dida-e-bina liye hue

kaif-e-nigah sehr-e-bayan masti-e-KHiram

hum aae un ki bazm se kya kya liye hue

naqsh-o-nigar-e-dahr ki ranaiyan na puchh

dar-parda hain kisi ka sarapa liye hue

be-lag main guzar gaya har KHub o zisht se

apni nazar mein zauq-e-tamasha liye hue

rah-e-hayat mein na mila koi ham-safar

tanha chala hun nam kisi ka liye hue

barbaad-e-iltifat ki taqdir dekhna

wo aae bhi to ranjish be-ja liye hue

hasti ke hadson ke muqabil DaTa raha

main un ki ek nazar ka sahaara liye hue

'raihani'-e-hazin hai KHizan mein ghazal-sara

rangni-e-bahaar ka sauda liye hue

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Zarra Hai Jamal Ki Duniya Liye Hue In English By Famous Poet Hanson Rehani. Har Zarra Hai Jamal Ki Duniya Liye Hue is written by Hanson Rehani. Read famous Poem Har Zarra Hai Jamal Ki Duniya Liye Hue for youth and Student by Hanson Rehani. Free Download Har Zarra Hai Jamal Ki Duniya Liye Hue in PDF.