Rang Ye Hai Ab Hamare Ishq Ki Tasir Ka

rang ye hai ab hamare ishq ki tasir ka

husn aaina bana hai dard ki taswir ka

ek arsa ho gaya farhad ko guzre hue

aao phir taza karen afsana ju-e-shir ka

gulsitan ka zarra zarra jag uThe andalib

lutf hai is waqt tere nala-e-shab-gir ka

lijiye ai shaiKH pahle apne iman ki KHabar

dijiye phir shauq se fatwa meri takfir ka

KHwab-e-hasti ko samajhne ke liye bechain hun

e'tibar aata nahin mujh ko kisi tabir ka

jis ne di aaKHir ghurur-e-husn-e-yusuf ko shikast

allah allah hausla is dast-e-daman-gir ka

toD kar nikle qafas to gum thi rah-e-ashiyan

wo amal tadbir ka tha ye amal taqdir ka

go zamana ho gaya gulzar se nikle hue

hai mizaj ab tak wahi 'raihani' dil-gir ka

(765) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang Ye Hai Ab Hamare Ishq Ki Tasir Ka In English By Famous Poet Hanson Rehani. Rang Ye Hai Ab Hamare Ishq Ki Tasir Ka is written by Hanson Rehani. Read famous Poem Rang Ye Hai Ab Hamare Ishq Ki Tasir Ka for youth and Student by Hanson Rehani. Free Download Rang Ye Hai Ab Hamare Ishq Ki Tasir Ka in PDF.