Said Ko Rashk-e-chaman Dam Ne Rahne Na Diya

said ko rashk-e-chaman dam ne rahne na diya

naghma-KHwan qiad-e-bad-anjam ne rahne na diya

apne sae ke taaqub mein rahe the din-bhar

wo bhi ab tirgi-e-sham ne rahne na diya

kuchh mere dil ka sukun nazr-e-gham-e-yar hua

jo bacha gardish-e-ayyam ne rahne na diya

main ne kab ki hain kisi ghair se dil ki baaten

raaz ko raaz dar-o-baam ne rahne na diya

umr-bhar chain se mujh ko kabhi ek lamha mere

us dal-e-tishna-e-lab-e-kaam ne rahne na diya

teri furqat mein kisi taur bhi rah lete magar

ghair ke sath tere nam ne rahne na diya

jaan se guzrin hain pa gham hai to usi baat ka hai

mujh ko mere hi KHush-andam ne rahne na diya

KHud tera aks kahin tujh ko pareshan na kare

sach ka aaina tere samne rahne na diya

ham-nafas us ka mujhe aur mujhe us ka 'haqir'

dil mein palte hue auham ne rahne na diya

(678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Said Ko Rashk-e-chaman Dam Ne Rahne Na Diya In English By Famous Poet Haqeer Jahani. Said Ko Rashk-e-chaman Dam Ne Rahne Na Diya is written by Haqeer Jahani. Read famous Poem Said Ko Rashk-e-chaman Dam Ne Rahne Na Diya for youth and Student by Haqeer Jahani. Free Download Said Ko Rashk-e-chaman Dam Ne Rahne Na Diya in PDF.