TaKHliq-e-be-sabaat Ka Zarra-nazir Hun

taKHliq-e-be-sabaat ka zarra-nazir hun

sahil ki ret par koi likkhi lakir hun

gardish hai zindagi meri manzil-rasa nahin

masruf‌‌‌‌-e-kar-koh-kan ek ju-e-shir hun

mal-o-mata-o-sarwat-e-jaan kuchh mera nahin

han gardish-e-zaman ne dikhaya faqir hun

zindan-e-dahr hai mujhe ek qasr-e-dil-fareb

apni hi KHwahishat ka aisa asir hun

jitna nikalna chaha tha utna ulajh gaya

girdab-e-zindagi ka main yun pa-e-gir hun

mujh se jahan mein aae aur aa kar chale gae

phir kyun samajh raha hun ki main be-nazir hun

achchha hua ki yaad tu aaya hai aaKHirash

is be-KHudi mein bhul gaya tha 'haqir' hun

(785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaKHliq-e-be-sabaat Ka Zarra-nazir Hun In English By Famous Poet Haqeer Jahani. TaKHliq-e-be-sabaat Ka Zarra-nazir Hun is written by Haqeer Jahani. Read famous Poem TaKHliq-e-be-sabaat Ka Zarra-nazir Hun for youth and Student by Haqeer Jahani. Free Download TaKHliq-e-be-sabaat Ka Zarra-nazir Hun in PDF.