Dushman Hain Wo Bhi Jaan Ke Jo Hain Hamare Log

dushman hain wo bhi jaan ke jo hain hamare log

aur aap ke hain dost zamane mein sare log

aata nahin hai sahil-e-bahr-e-fana nazar

kya jaanen par hote hain kis ke sahaare log

kya jaanen un ki chaal mein eajaz hai ki sehr

wo bhi unhin se mil gae jo the hamare log

ho kis zaban se mahfil-e-dildar ki sana

wo aaftab-e-husn to anjum hain sare log

taqsir-war-e-ishq jo hota hai koi zabh

karte hain afw jurm ke un se ishaare log

dekha baghaur aib se KHali nahin koi

bazm-e-jahan mein sab hain KHuda ke sanware log

chhoDa na sath hashr tak aamal-e-nek 'haqir'

sab ho gae luTa ke lahad mein kinare log

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dushman Hain Wo Bhi Jaan Ke Jo Hain Hamare Log In English By Famous Poet Haqeer. Dushman Hain Wo Bhi Jaan Ke Jo Hain Hamare Log is written by Haqeer. Read famous Poem Dushman Hain Wo Bhi Jaan Ke Jo Hain Hamare Log for youth and Student by Haqeer. Free Download Dushman Hain Wo Bhi Jaan Ke Jo Hain Hamare Log in PDF.