Na-tawan Wo Hun Ki Dam Bhar Nahin BaiTha Jata

na-tawan wo hun ki dam bhar nahin baiTha jata

wo bulate to abhi uTh ke main dauDa jata

but-kade mein bhi gaya kaba ki jaanib bhi gaya

ab kahan DhunDhne tujh ko tera shaida jata

kyun ji kyun ghair ki baaton ka to dete ho jawab

hum jo kuchh puchhen to munh se nahin phuTa jata

yak-ba-yak tark na karna tha mohabbat mujh se

KHair jis tarah se aata tha wo aata jata

kah ke ye Tal gae baalin se ayaadat ko jo aae

ab tera haal-e-pareshan nahin dekha jata

KHwahish-e-dasht-nawardi kabhi hoti na mujhe

bewafa tu mere ghar par kabhi aata jata

KHak phulun-phalun is gulshan-e-viran mein 'haqir'

bagh-e-hasti se KHizan ka nahin khaTka jata

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na-tawan Wo Hun Ki Dam Bhar Nahin BaiTha Jata In English By Famous Poet Haqeer. Na-tawan Wo Hun Ki Dam Bhar Nahin BaiTha Jata is written by Haqeer. Read famous Poem Na-tawan Wo Hun Ki Dam Bhar Nahin BaiTha Jata for youth and Student by Haqeer. Free Download Na-tawan Wo Hun Ki Dam Bhar Nahin BaiTha Jata in PDF.