Milegi ShaiKH Ko Jannat, Hamein DozaKH Ata Hoga

milegi shaiKH ko jannat, hamein dozaKH ata hoga

bas itni baat hai jis ke liye mahshar bapa hoga

rahe do do farishte sath ab insaf kya hoga

kisi ne kuchh likha hoga kisi ne kuchh likha hoga

ba-roz-e-hashr hakim qadir-e-mutlaq KHuda hoga

farishton ke likhe aur shaiKH ki baaton se kya hoga

teri duniya mein sabr o shukr se hum ne basar kar li

teri duniya se baDh kar bhi tere dozaKH mein kya hoga

sukun-e-mustaqil dil be-tamanna shaiKH ki sohbat

ye jannat hai to is jannat se dozaKH kya bura hoga

mere ashaar par KHamosh hai jiz-biz nahin hota

ye waiz waizon mein kuchh haqiqat-ashna hoga

bharosa kis qadar hai tujh ko 'aKHtar' us ki rahmat par

agar wo shaiKH-sahib ka KHuda nikla to kya hoga

(4806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milegi ShaiKH Ko Jannat, Hamein DozaKH Ata Hoga In English By Famous Poet Hari Chand Akhtar. Milegi ShaiKH Ko Jannat, Hamein DozaKH Ata Hoga is written by Hari Chand Akhtar. Read famous Poem Milegi ShaiKH Ko Jannat, Hamein DozaKH Ata Hoga for youth and Student by Hari Chand Akhtar. Free Download Milegi ShaiKH Ko Jannat, Hamein DozaKH Ata Hoga in PDF.