Sair-e-duniya Se Gharaz Thi Mahw-e-duniya Kar Diya

sair-e-duniya se gharaz thi mahw-e-duniya kar diya

main ne kya chaha mere allah ne kya kar diya

rokne wala na tha koi KHuda ko is liye

jo kuchh aaya us ke ji mein be-muhaba kar diya

han isi kam-baKHt dil ne kar diya ifsha-e-raaz

han isi kam-baKHt dil ne mujh ko ruswa kar diya

ishq ja in teri baaton mein nahin aane ke hum

achchhe achchhon ko jahan mein tu ne ruswa kar diya

zindagi baiThi thi apne husn par bhuli hui

maut ne aate hi sara rang phika kar diya

husn ne pahle to sab mujh par haqiqat khol di

aur phir KHamosh rahne ka ishaara kar diya

husn ko pahna chuke jab KHud-numai ka libas

ishq ne sar piT kar puchha ki ye kya kar diya

(995) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sair-e-duniya Se Gharaz Thi Mahw-e-duniya Kar Diya In English By Famous Poet Hari Chand Akhtar. Sair-e-duniya Se Gharaz Thi Mahw-e-duniya Kar Diya is written by Hari Chand Akhtar. Read famous Poem Sair-e-duniya Se Gharaz Thi Mahw-e-duniya Kar Diya for youth and Student by Hari Chand Akhtar. Free Download Sair-e-duniya Se Gharaz Thi Mahw-e-duniya Kar Diya in PDF.