Suna Kar Haal Qismat Aazma Kar LauT Aae Hain

suna kar haal qismat aazma kar lauT aae hain

unhen kuchh aur begana bana kar lauT aae hain

phir ek TuTa hua rishta phir ek ujDi hui duniya

phir ek dilchasp afsana suna kar lauT aae hain

fareb-e-arzu ab to na de ai marg-e-mayusi

hum ummidon ki ek duniya luTa kar lauT aae hain

KHuda shahid hai ab to un sa bhi koi nahin milta

ba-zom-e-KHwesh un ko aazma kar lauT aae hain

bichhe jate hain ya rab kyun kisi kafir ke qadmon mein

wo sajde jo dar-e-kaba pe ja kar lauT aae hain

(864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suna Kar Haal Qismat Aazma Kar LauT Aae Hain In English By Famous Poet Hari Chand Akhtar. Suna Kar Haal Qismat Aazma Kar LauT Aae Hain is written by Hari Chand Akhtar. Read famous Poem Suna Kar Haal Qismat Aazma Kar LauT Aae Hain for youth and Student by Hari Chand Akhtar. Free Download Suna Kar Haal Qismat Aazma Kar LauT Aae Hain in PDF.