Umidon Se Dil-e-barbaad Ko Aabaad Karta Hun

umidon se dil-e-barbaad ko aabaad karta hun

miTane ke liye duniya nai ijad karta hun

teri miad-e-gham puri hui ai zindagi KHush ho

qafas TuTe na TuTe main tujhe aazad karta hun

jafa-karo meri mazlum KHamoshi pe hanste ho

zara Thahro zara dam lo abhi fariyaad karta hun

main apne dil ka malik hun mera dil ek basti hai

kabhi aabaad karta hun kabhi barbaad karta hun

mulaqaten bhi hoti hain mulaqaton ke baad aksar

wo mujh ko bhul jate hain main un ko yaad karta hun

(1363) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umidon Se Dil-e-barbaad Ko Aabaad Karta Hun In English By Famous Poet Hari Chand Akhtar. Umidon Se Dil-e-barbaad Ko Aabaad Karta Hun is written by Hari Chand Akhtar. Read famous Poem Umidon Se Dil-e-barbaad Ko Aabaad Karta Hun for youth and Student by Hari Chand Akhtar. Free Download Umidon Se Dil-e-barbaad Ko Aabaad Karta Hun in PDF.