Qissa-KHwani Bazar Ki Ek Sham

tasahul ki chadar lapeTe hue qissa-KHwani ek sham thi

hum wahan apni din bhar ki is jaan-lewa thakan se

nabard-azma

KHub qahwon pe qahwe ke piyale lunDhate rahe

aur apne buland-bang dawon se aur qahqahon se

kahin ghonslon mein chhupe thak ke soe hue

nim-jaan taeron ko jagate rahe

aur guzre zamane ke piron faqiron ki koi na kai karamat sunate rahe

(kis tarah sahiban-e-karamat barzaKH to barzaKH

shar-angez zindon ki ruhen bulane pe qadir

sabhi ko bad-amaliyon se bachate rahe)

par jo ye sab nahi mante the

wo niswar ki tez bu mein base

inT gare ke ek nim-puKHta thaDe par

bar-afroKHta ho ke inkar mein sar hilate rahe

han magar wo ki jin ke labon par

charas aur ganje ki udi si tah

mustaqil jam gai thi

faqat muskuraate rahe

aur sangat mein maujud jo bachcha-KHush the

wo har aate jate trahdar kam-umr laDke ko

aaankhon hi aaankhon mein pate rahe

phir sab aapas mein mil kar

karachi se kunduz tak pesha karti hui kasbiyon

hijDon aur lounDon ke

pur-kaif qisse sunate rahe

gudgudate rahe

dil lubhate rahe

(1031) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qissa-KHwani Bazar Ki Ek Sham In English By Famous Poet Haris Khaleeq. Qissa-KHwani Bazar Ki Ek Sham is written by Haris Khaleeq. Read famous Poem Qissa-KHwani Bazar Ki Ek Sham for youth and Student by Haris Khaleeq. Free Download Qissa-KHwani Bazar Ki Ek Sham in PDF.