Raziya-sultana Korangi, Ke Area

us ne jun-tun paDha

pas bhi ho gai

kuchh dinon ke liye nowelon hindi filmon chalittar saheli ki baaton

mazedar sapnon mein bhi kho gai

KHud-baKHud apne har shauq se aashna ho gai

aur phir ek itwar ko

us ke donon baDe bhaiyon bhabiyon ne

hisab aur chulhe alag jab kiye

us ne amman ko KHud-e'timadi se dekha

ki ab us ke apne dupaTTe qamis aur shalwar chappal ke joDe

namak mirch aalu maTar pyaz lahsan chuqandar TamaTar

podina, kaDhi pat zira, masale,

chune mung mash aur masur, sari dalen

mahine mein do bar qima ya murghi ka salan

chhaTi class mein paDhne wale ghabi chhoTe bhai ki Tuition

kitabon ka KHarcha

ye sab us akeli ki hai zimmedari

so jab naukri DhunDte DhunDte arziyan dete dete

kai din hue

to use yuni-centre mein ek aam si naukri mil gai

jab sawere naha kar chamakdar aaankhon mein kajal labon par lipstick

laga kar

wo ghar se nikalti

ghane gile baalon se aati hui garm KHushbu se

kitnon ke dil Dol jate

qadam Dagmagate

wahan kaam zyaada tha lekin sab afsar

use dekh kar muskuraate aur izzat se har baat karte

na be-kar mein DanTte aur na fazil sawalat karte

jo ek mehrbani mein tha sab se baDh kar

baDi tar nigahon se us ki taraf dekhta

par kabhi kuchh na kahta

ki is mehrban narm-guftar afsar pe biwi ki baaton ka

ek bar rahta

jise wo baDi jaan-fishani se sahta

magar wo koi mah-ru bhi nahi thi

so thoDe bahut khate-pite gharon se

jo aate to bejoD ranDuon ke rishte hi aate

koi ittifaqan jo kam-umr hota

to KHwahish bahut kulbulati

magar kya wo karti

ki aison ki tanKHwah bhi kam nikalti

jo hoti wo aadhi to pahle hi bisi mein Dalti

so shadi jo karti to amman ko kyunkar khilati

wo chhoTe ko kaise paDhati

ye sab soch kar aap hi aap wo muskuraati

baDi KHush-lihazi se inkar mein sar hilati

chhapar-khaT pe amman ke panw dabaati

wahin baiThe baiThe hue ungh jati

(1101) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raziya-sultana Korangi, Ke Area In English By Famous Poet Haris Khaleeq. Raziya-sultana Korangi, Ke Area is written by Haris Khaleeq. Read famous Poem Raziya-sultana Korangi, Ke Area for youth and Student by Haris Khaleeq. Free Download Raziya-sultana Korangi, Ke Area in PDF.