Husn-e-muKHtar Sahi Ishq Bhi Majbur Nahin

husn-e-muKHtar sahi ishq bhi majbur nahin

ye jafaon pe jafa ab mujhe manzur nahin

zulf-e-zanjir sahi dil bhi giraftar magar

main tere halqa-e-adab ka mahsur nahin

dil ka sauda hai jo paT jae to behtar warna

main bhi majbur nahin aap bhi majbur nahin

daman-e-dil se ye begana-rawi itna gurez

tum to ek phul ho kanTon ka bhi dastur nahin

chand jam aur ki maiKHana-e-jaan tak pahunchen

DhunDne wale mujhe mujh se bahut dur nahin

sab libason mein hain poshida gunahon ki tarah

dil-e-bebak bhi mahfil ke tain aur nahin

har suKHan hosh ka hai mufti-e-hairan ke sath

sab piye baiThe hain aur koi bhi maKHmur nahin

sab rasan-basta-e-azadi-e-iman hue

ab koi mere siwa banda-e-majbur nahin

us se mil kar bhi udas us ki judai bhi garan

dil ba-har-haal kisi taur bhi masrur nahin

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn-e-muKHtar Sahi Ishq Bhi Majbur Nahin In English By Famous Poet Hasan Aabid. Husn-e-muKHtar Sahi Ishq Bhi Majbur Nahin is written by Hasan Aabid. Read famous Poem Husn-e-muKHtar Sahi Ishq Bhi Majbur Nahin for youth and Student by Hasan Aabid. Free Download Husn-e-muKHtar Sahi Ishq Bhi Majbur Nahin in PDF.