KHud Ko Pane Ki Justuju Hai Wahi

KHud ko pane ki justuju hai wahi

us se milne ki aarzu hai wahi

us ka chehra usi ke KHadd-o-KHal

apna mauzu-e-guftugu hai wahi

hain usi ke ye rang-ha-e-suKHan

mere pahlu mein KHub-ru hai wahi

kitne mausam badal gae lekin

dil wahi dil ki aarzu hai wahi

hai wahi shauq-e-chaak-damani

aur phir KHwahish-e-rafu hai wahi

sajda-bazan-e-shahr painda

dast-e-azar ki aabru hai wahi

KHu-e-taslim sar salamat-baad

bandagi tauq-e-dar-gulu hai wahi

kam nahin shor-e-nala-o-fariyaad

matam-e-shahr aarzu hai wahi

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Ko Pane Ki Justuju Hai Wahi In English By Famous Poet Hasan Aabid. KHud Ko Pane Ki Justuju Hai Wahi is written by Hasan Aabid. Read famous Poem KHud Ko Pane Ki Justuju Hai Wahi for youth and Student by Hasan Aabid. Free Download KHud Ko Pane Ki Justuju Hai Wahi in PDF.