Kuchh Ajib Aalam Hai Hosh Hai Na Masti Hai

kuchh ajib aalam hai hosh hai na masti hai

ye tawil tanhai sanp ban ke Dasti hai

naghma-e-tabassum se lab hain ab bhi na-mahram

shaKH-e-arzu ab bhi phul ko tarasti hai

hum gharib kya jaanen mol zindagani ka

hum ko kya pata ye shai mahngi hai ki sasti hai

aao hum bhi dekhenge is dayar mein chal kar

kaise log rahte hain kis tarah ki basti hai

KHub-ru tamannaen KHush-libas ummiden

shahr-e-dil ki basti bhi kya hasin basti hai

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Ajib Aalam Hai Hosh Hai Na Masti Hai In English By Famous Poet Hasan Aabid. Kuchh Ajib Aalam Hai Hosh Hai Na Masti Hai is written by Hasan Aabid. Read famous Poem Kuchh Ajib Aalam Hai Hosh Hai Na Masti Hai for youth and Student by Hasan Aabid. Free Download Kuchh Ajib Aalam Hai Hosh Hai Na Masti Hai in PDF.