Phir Saje Bazm-e-tarab Zulf Khule Shana Chale

phir saje bazm-e-tarab zulf khule shana chale

phir wahi silisla-e-shoKHi-e-rindana chale

phir ye yakjai-e-yaran-e-chaman ho ki na ho

der tak aaj zara bazm mein paimana chale

phir koi qais ho aawara-e-sahra-e-junun

phir kisi gesu-e-shab-rang ka afsana chale

hum wo bad-mast-e-junun hain jo sar-e-rah-e-hayat

kabhi ba-hosh kabhi hosh se begana chale

hum ne chaha to na tha un se ulajhna lekin

is ko kya kahiye wo har chaal harifana chale

waqt badla hai to phir kyun na ba-andaz-e-digar

wahi tahrik-e-shikast-e-KHum-o-KHum-KHan chale

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Saje Bazm-e-tarab Zulf Khule Shana Chale In English By Famous Poet Hasan Aabid. Phir Saje Bazm-e-tarab Zulf Khule Shana Chale is written by Hasan Aabid. Read famous Poem Phir Saje Bazm-e-tarab Zulf Khule Shana Chale for youth and Student by Hasan Aabid. Free Download Phir Saje Bazm-e-tarab Zulf Khule Shana Chale in PDF.