Gulab-e-surKH Se Aarasta Dalan Karna Hai

gulab-e-surKH se aarasta dalan karna hai

phir ek sham-e-visal-angi tujhe mehman karna hai

siwa tere har ek shai ko haTa dena hai manzar se

aur is ke baad KHud ko be-sar-o-saman karna hai

main apna dasht apne sath le kar ghar se nikla hun

fana karna hai KHud ko aur alal-ailan karna hai

wafa ke goshware mein mera pahla KHasara tu

tere hi nam par darj aaKHiri nuqsan karna hai

main teri bargah mein naqd-e-jaan tak nazr kar aaya

to kya kuchh aur bhi mujh ko ada tawan karna hai

'hasan' ko bewafa kahne mein dukh to hoga tujh ko bhi

magar ye kar-e-mushkil tu ne meri jaan karna hai

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulab-e-surKH Se Aarasta Dalan Karna Hai In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Gulab-e-surKH Se Aarasta Dalan Karna Hai is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Gulab-e-surKH Se Aarasta Dalan Karna Hai for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Gulab-e-surKH Se Aarasta Dalan Karna Hai in PDF.