Ghar LauTte Hain Jab Bhi Koi Yar Ganwa Kar

ghar lauTte hain jab bhi koi yar ganwa kar

ro lete hain ham-zad ko sine se laga kar

kis ko thi KHabar is mein taDaKH jaega dil bhi

hum KHush the bahut sehn mein diwar uTha kar

kuchh aur bhi baDh jati hain hairaniyan dil ki

sau bar kaha hai ki na aaina taka kar

sawan mein to KHud-sozi bhi ho jati hai nakaam

rela sa guzar jata hai sab azm bujha kar

main tark-e-talluq pe bhi aamada hun lekin

tu bhi to mera qarz-e-gham-e-hijr ada kar

ye tai hai ki ab hum ne nahin milna dobara

ye baat magar aur kisi se na kaha kar

is kar-e-mohabbat mein to hota hai KHasara

ai sahab-e-zar tu ye tijarat na kya kar

ek shahad sa ghulta chala jata hai dahan mein

leta hun main jab sans teri sans mila kar

(973) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar LauTte Hain Jab Bhi Koi Yar Ganwa Kar In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Ghar LauTte Hain Jab Bhi Koi Yar Ganwa Kar is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Ghar LauTte Hain Jab Bhi Koi Yar Ganwa Kar for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Ghar LauTte Hain Jab Bhi Koi Yar Ganwa Kar in PDF.