Kisi Ke Hijr Mein Yun TuT Kar Roya Nahin Karte

kisi ke hijr mein yun TuT kar roya nahin karte

ye apna ranj hai aur ranj ka charcha nahin karte

judai ki ruton mein suraten dhundlane lagti hain

so aise mausamon mein aaina dekha nahin karte

ziyaada se ziyaada dil bichha dete hain raste mein

magar jis ne bichhaDna ho use roka nahin karte

hamesha ek masafat ghumti rahti hai panw mein

safar ke baad bhi kuchh log ghar pahuncha nahin karte

tani rassi pe dariya par utarna hi muqaddar ho

to phir sinon mein gharqabi ka Dar rakkha nahin karte

hamein ruswa kiya is nind mein chalne ki aadat ne

wagarna jagte mein hum kabhi aisa nahin karte

'hasan' jab laDkhaDa kar apne hi panw pe girna ho

to phir eDi pe itni der tak ghuma nahin karte

(1349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Hijr Mein Yun TuT Kar Roya Nahin Karte In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Kisi Ke Hijr Mein Yun TuT Kar Roya Nahin Karte is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Kisi Ke Hijr Mein Yun TuT Kar Roya Nahin Karte for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Kisi Ke Hijr Mein Yun TuT Kar Roya Nahin Karte in PDF.