Kal Shab Qasam KHuda Ki Bahut Dar Laga Hamein

kal shab qasam KHuda ki bahut Dar laga hamein

ek zalzala wajud ke andar laga hamein

aisa na ho ki Dhang hi uDne ka bhul jaen

sayyaad ek din ke liye par laga hamein

aate dinon mein tera hawala to ban sakin

katba bana ke qabr ke upar laga hamein

us ka firaq itna baDa saneha na tha

lekin ye dukh pahaD barabar laga hamein

kal aainon ne rok ke mujh se kaha 'hasan'

kuchh din hisar-e-zat se bahar laga hamein

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Shab Qasam KHuda Ki Bahut Dar Laga Hamein In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Kal Shab Qasam KHuda Ki Bahut Dar Laga Hamein is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Kal Shab Qasam KHuda Ki Bahut Dar Laga Hamein for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Kal Shab Qasam KHuda Ki Bahut Dar Laga Hamein in PDF.