Irada Tha Ki Ab Ke Rang-e-duniya Dekhna Hai

irada tha ki ab ke rang-e-duniya dekhna hai

KHabar kya thi ki apna hi tamasha dekhna hai

Dasega bebasi ka nag jaane aur kab tak

na jaane aur kitne din ye naqsha dekhna hai

dua ka shamiyana bhi nahin hai ab to sar par

so KHud ko hiddat-e-gham mein jhulasta dekhna hai

nahin ab sochna kya ho chuka kya hoga aage

bas ab to hath ki rekha ka likkha dekhna hai

bahut dekha hai KHud ko ranj par taqsim hote

aur ab taqsim-dar-taqsim hota dekhna hai

main phir ek KHat tere aangan girana chahta hun

mujhe phir se tera rang-e-burida dekhna hai

tu sar-ta-pa zabani yaad ho jaegi mujh ko

ki ab main ne tujhe itna ziyaada dekhna hai

'hasan' main ek lambi sans lena chahta hun

main jaisa tha kisi din KHud ko waisa dekhna hai

(994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Irada Tha Ki Ab Ke Rang-e-duniya Dekhna Hai In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Irada Tha Ki Ab Ke Rang-e-duniya Dekhna Hai is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Irada Tha Ki Ab Ke Rang-e-duniya Dekhna Hai for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Irada Tha Ki Ab Ke Rang-e-duniya Dekhna Hai in PDF.