Main Talash Mein Kisi Aur Ki Mujhe DhunDhta Koi Aur Hai

main talash mein kisi aur ki mujhe DhunDhta koi aur hai

main sawal hun kisi aur ka mera masala koi aur hai

kabhi chand-chehron ki bhiD se jo nikal ke aaya to ye khula

wo jo asl tha use kho diya jise pa liya koi aur hai

kaTi umr ek usi chah mein use dekhte kisi rah mein

magar ek zamane ke baad jo hua aashna koi aur hai

faqat ek pal ke firaq mein kai KHwab kirchiyan ho gae

jo palaT ke aae to yun laga yahan silsila koi aur hai

wahi log hain wahi nam hain wahi ghar wahi dar-o-baam hain

magar ab darichon ki oT se hamein jhankta koi aur hai

kisi aane wale safar ki jab karo ibtida to ye sochna

main akela is mein sharik hun ki mere siwa koi aur hai

use mil ke aae to sham ko mujhe aaine ne kaha suno

wo jo subh-dam tha hasan-'raza' wo tumhi ho ya koi aur hai

(1027) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Talash Mein Kisi Aur Ki Mujhe DhunDhta Koi Aur Hai In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Main Talash Mein Kisi Aur Ki Mujhe DhunDhta Koi Aur Hai is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Main Talash Mein Kisi Aur Ki Mujhe DhunDhta Koi Aur Hai for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Main Talash Mein Kisi Aur Ki Mujhe DhunDhta Koi Aur Hai in PDF.