Riya-kariyon Se Musallah Ye Lashkar Mujhe Mar Denge

riya-kariyon se musallah ye lashkar mujhe mar denge

main bach bhi gaya to nae hamla-awar mujhe mar denge

ba-zahir ye ahl-e-mohabbat hain lekin munafiq bahut hain

ye ek roz dam-e-mohabbat mein la kar mujhe mar denge

main apni hi aawaz apne hi sae se Darne laga hun

aur ab KHauf ye hai ki mere yahi Dar mujhe mar denge

isi mein aman hai ki main un ke chehre palaT kar na dekhun

palaTne ki surat mein ye kina-parwar mujhe mar denge

main hone ko apne hi baatin mein ru-posh ho jaun lekin

mere apne ahbab shak ki bina par mujhe mar denge

ye kaamil yaqin hai ki jis din bhi apne muqabil mein aaya

meri zat mein morcha-band KHud-sar mujhe mar denge

'hasan' ab khule aasmanon mein parwaz karna paDegi

wagarna ye KHisht-e-hawas se bane ghar mujhe mar denge

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Riya-kariyon Se Musallah Ye Lashkar Mujhe Mar Denge In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Riya-kariyon Se Musallah Ye Lashkar Mujhe Mar Denge is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Riya-kariyon Se Musallah Ye Lashkar Mujhe Mar Denge for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Riya-kariyon Se Musallah Ye Lashkar Mujhe Mar Denge in PDF.