Na Aarzuon Ka Chand Chamka Na Qurbaton Ke Gulab Mahke

na aarzuon ka chand chamka na qurbaton ke gulab mahke

na hijraton ka azab sahte hue musafir gharon ko lauTe

na aanganon mein daraKHt-e-jaan par visal-mausam ka bor jaga

na Dali Dali kisi parinde ne KHushbuon ke tarane chheDe

waraq waraq zaichon mein tahrir ek se the jawab lekin

sawal chakhne ki KHam KHwahish mein hum ne kya kya azab chakkhe

bas ek Dhalwan darmiyan hai aur us se aage khula jahannam

na jaane kis pal ki ek laghzish azab sadiyan sameT lae

hamein KHabar hai ki apne ghar ke charagh koi ghaDi hain lekin

hamein yaqin hai ki raushni ki nawed sunne talak jalenge

qabile walo uTho! aur apna bachaw kar lo, ki main ne kal shab

fasil-e-shahr-e-aman ke bahar naqab-zanon ke giroh dekhe

(973) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Aarzuon Ka Chand Chamka Na Qurbaton Ke Gulab Mahke In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Na Aarzuon Ka Chand Chamka Na Qurbaton Ke Gulab Mahke is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Na Aarzuon Ka Chand Chamka Na Qurbaton Ke Gulab Mahke for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Na Aarzuon Ka Chand Chamka Na Qurbaton Ke Gulab Mahke in PDF.