KHamosh Rah Kar Pukarti Hai

KHamosh rah kar pukarti hai

wo aankh kitni shararti hai

hai chandni sa mizaj us ka

samundaron ko ubhaarti hai

main baadalon mein ghira jazira

wo mujh mein sawan guzarti hai

ki jaise main us ko chahta hun

kuchh aise KHud ko sanwarti hai

KHafa ho mujh se to apne andar

wo barishon ko utarti hai

(846) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

KHamosh Rah Kar Pukarti Hai In English By Famous Poet Hasan Abbasi. KHamosh Rah Kar Pukarti Hai is written by Hasan Abbasi. Read famous Poem KHamosh Rah Kar Pukarti Hai for youth and Student by Hasan Abbasi. Free Download KHamosh Rah Kar Pukarti Hai in PDF.