Raat-din Pur-shor Sahil Jaisa Manzar Mujh Mein Tha

raat-din pur-shor sahil jaisa manzar mujh mein tha

tum se pahle maujzan koi samundar mujh mein tha

aaj teri yaad se Takra ke TukDe ho gaya

wo jo sadiyon se luDhakta ek patthar mujh mein tha

jite-ji sahn-e-mazar-e-dost tha mera wajud

ek shikasta sa piyala aur kabutar mujh mein tha

main kahan jata dikhane apne andar ka kamal

jo kabhi mujh par na khul paya wo jauhar mujh mein tha

DhunDhta phirta hun us ko raat din KHud mein 'hasan'

wo jo kal tak mujh se bhi ek shaKHs behtar mujh mein tha

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat-din Pur-shor Sahil Jaisa Manzar Mujh Mein Tha In English By Famous Poet Hasan Abbasi. Raat-din Pur-shor Sahil Jaisa Manzar Mujh Mein Tha is written by Hasan Abbasi. Read famous Poem Raat-din Pur-shor Sahil Jaisa Manzar Mujh Mein Tha for youth and Student by Hasan Abbasi. Free Download Raat-din Pur-shor Sahil Jaisa Manzar Mujh Mein Tha in PDF.