Raat Ye Kaun Mere KHwab Mein Aaya Hua Tha

raat ye kaun mere KHwab mein aaya hua tha

subh mein wadi-e-shadab mein aaya hua tha

ek parinde ki tarah uD gaya kuchh der hui

aks us shaKHs ka talab mein aaya hua tha

main bhi us ke liye baiTha raha chhat par shab bhar

wo bhi mere liye mahtab mein aaya hua tha

sard KHitte mein sulagta hua jangal tha badan

aag se nikla to barfab mein aaya hua tha

ye to sad-shukr KHayalon ne tere khinch liya

main to haalat ke girdab mein aaya hua tha

yaad hain dil ko mohabbat ke shab-o-roz 'hasan'

ganw jaise koi sailab mein aaya hua tha

(1015) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ye Kaun Mere KHwab Mein Aaya Hua Tha In English By Famous Poet Hasan Abbasi. Raat Ye Kaun Mere KHwab Mein Aaya Hua Tha is written by Hasan Abbasi. Read famous Poem Raat Ye Kaun Mere KHwab Mein Aaya Hua Tha for youth and Student by Hasan Abbasi. Free Download Raat Ye Kaun Mere KHwab Mein Aaya Hua Tha in PDF.